Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn-e-nawa-e-shauq ki ta’mil kar chale

Hasrat Khan Khatak

husn-e-nawa-e-shauq ki ta’mil kar chale

Hasrat Khan Khatak

MORE BYHasrat Khan Khatak

    husn-e-navā-e-shauq tā’mīl kar chale

    sar ko uThā.e 'ahd takmīl kar chale

    ḳhākī badan ko ātish-e-dā.im lau pe rakh

    hiddat barā-e-jān tarsīl kar chale

    dardoñ-bharī darīda ridā-e-hayāt ko

    taane se baanā joḌ ke zambīl kar chale

    nuurī tajalliyāt ko parvāz-o-par diye

    apne taḳhayyulāt ko jibrīl kar chale

    apnī anā-e-hosh saudā nahīñ kiyā

    pur-josh rah ke ḳhauf tazlīl kar chale

    kal shab tire ḳhayāl ke pahlū meñ baiTh kar

    ġham-hā-e-rozgār se tā’tīl kar chale

    maiñ ne sadā-e-haq ko kiyā sarbuland aur

    baaqī tamām kaam abābīl kar chale

    dil jabīñ ko aap chaukhaT pe Tek kar

    āñkhoñ ko intizār meñ tahlīl kar chale

    gahrī siyāh raat meñ ḳhud ko jalā ke ham

    misl-e-misāl-e-raushnī tamsīl kar chale

    andar chup ko kis ne 'atā kar dhaḌkaneñ

    'hasrat' na.ī zabān meñ tafsīl kar chale

    husn-e-nawa-e-shauq ki ta’mil kar chale

    sar ko uThae 'ahd ki takmil kar chale

    KHaki badan ko aatish-e-daim ki lau pe rakh

    hiddat bara-e-jaan ki tarsil kar chale

    dardon-bhari darida rida-e-hayat ko

    tane se bana joD ke zambil kar chale

    nuri tajalliyat ko parwaz-o-par diye

    apne taKHayyulat ko jibril kar chale

    apni ana-e-hosh ka sauda nahin kiya

    pur-josh rah ke KHauf ki tazlil kar chale

    kal shab tere KHayal ke pahlu mein baiTh kar

    gham-ha-e-rozgar se ta’til kar chale

    main ne sada-e-haq ko kiya sarbuland aur

    baqi tamam kaam ababil kar chale

    dil ki jabin ko aap ki chaukhaT pe Tek kar

    aankhon ko intizar mein tahlil kar chale

    gahri siyah raat mein KHud ko jala ke hum

    misl-e-misal-e-raushni tamsil kar chale

    andar ki chup ko kis ne 'ata kar di dhaDkanen

    'hasrat' nai zaban mein tafsil kar chale

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now