husn-e-parwaz be-karan bole
husn-e-parvāz be-karāñ bole
sar uThā.ūñ to āsmāñ bole
is nazar key zabān ko samjho
jo ḳhamoshī ke darmiyāñ bole
be-ḳhudī meñ nazar nahīñ aatā
ham kahāñ samjhe tum kahāñ bole
ḳhatm ho jab fasād key shorish
ghar key dīvār sā.ebāñ bole
boliyoñ ke hujūm meñ rah kar
koī bolī na be-zabāñ bole
tum na bolo to ik jahāñ ḳhāmosh
tum jo bolo to ik jahāñ bole
jis se gir jaa.e baat key rif.at
baat aisī na rāz-dāñ bole
sab haiñ 'iqbāl' mast apne meñ
hāl-e-dil kab koī kahāñ bole
husn-e-parwaz be-karan bole
sar uThaun to aasman bole
is nazar key zaban ko samjho
jo KHamoshi ke darmiyan bole
be-KHudi mein nazar nahin aata
hum kahan samjhe tum kahan bole
KHatm ho jab fasad key shorish
ghar key diwar saeban bole
boliyon ke hujum mein rah kar
koi boli na be-zaban bole
tum na bolo to ek jahan KHamosh
tum jo bolo to ek jahan bole
jis se gir jae baat key rifat
baat aisi na raaz-dan bole
sab hain 'iqbaal' mast apne mein
haal-e-dil kab koi kahan bole
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.