husn-e-shiar mein mujhe Dhalne nahin diya
husn-e-shi.ār meñ mujhe Dhalne nahīñ diyā
us ne kisī bhī gaam sañbhalne nahīñ diyā
haa.il rah-e-hayāt meñ hassāsiyat rahī
is dil ne do qadam mujhe chalne nahīñ diyā
rakkhā ba-sad ḳhulūs rag-o-pai meñ mustaqil
lamha koī bhī dard kā Talne nahīñ diyā
kuchh vo bhī chāhtā thā yahāñ mustaqil qayām
maiñ ne bhī us ko dil se nikalne nahīñ diyā
mahfil ko jo diyā tire andāz-e-dād ne
aisā maza to merī ġhazal ne nahīñ diyā
ik baar e'tirāf-e-mohabbat pe umr bhar
ham ne use bayān badalne nahīñ diyā
dariyā hazār dil meñ bipharte rahe magar
āñkhoñ meñ koī ashk machalne nahīñ diyā
'tāhir-adīm' apnā diyā kyā jalā.egā
jis ne mirā charāġh bhī jalne nahīñ diyā
husn-e-shiar mein mujhe Dhalne nahin diya
us ne kisi bhi gam sanbhalne nahin diya
hail rah-e-hayat mein hassasiyat rahi
is dil ne do qadam mujhe chalne nahin diya
rakkha ba-sad KHulus rag-o-pai mein mustaqil
lamha koi bhi dard ka Talne nahin diya
kuchh wo bhi chahta tha yahan mustaqil qayam
main ne bhi us ko dil se nikalne nahin diya
mahfil ko jo diya tere andaz-e-dad ne
aisa maza to meri ghazal ne nahin diya
ek bar e'tiraf-e-mohabbat pe umr bhar
hum ne use bayan badalne nahin diya
dariya hazar dil mein bipharte rahe magar
aankhon mein koi ashk machalne nahin diya
'tahir-adim' apna diya kya jalaega
jis ne mera charagh bhi jalne nahin diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.