husn-e-taban us taraf hai ishq-e-sozan is taraf
husn-e-tābāñ us taraf hai ishq-e-sozāñ ''is taraf
vo pareshāñ us taraf hai ham pareshāñ is taraf
kā'ba-e-dil us taraf hai qbila-e-jāñ is taraf
us taraf allāh kā ghar kū-e-jānāñ is taraf
laakh īmānoñ pe bhārī hai adā-e-kāfirī
ek kāfir us taraf saare musalmāñ is taraf
husn mahv-e-rang-o-bū hai 'ishq ġharq-e-hā.e-o-hū
har gulistāñ us taraf hai har bayābāñ is taraf
saañs meñ āvāz-e-nai hai dil ġhazal-ḳhvāñ hai 'zahīn'
shāyad aane ko hai vo jān-e-bahārāñ is taraf
husn-e-taban us taraf hai ishq-e-sozan is taraf
wo pareshan us taraf hai hum pareshan is taraf
ka'ba-e-dil us taraf hai qbila-e-jaan is taraf
us taraf allah ka ghar ku-e-jaanan is taraf
lakh imanon pe bhaari hai ada-e-kafiri
ek kafir us taraf sare musalman is taraf
husn mahw-e-rang-o-bu hai 'ishq gharq-e-hae-o-hu
har gulistan us taraf hai har bayaban is taraf
sans mein aawaz-e-nai hai dil ghazal-KHwan hai 'zahin'
shayad aane ko hai wo jaan-e-bahaaran is taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.