husn-e-tamam ek din insan ban ke aa
husn-e-tamām ek din insān ban ke aa
aur kuchh nahīñ to merā hī armān ban ke aa
roz-e-azal se likhtā rahā huuñ jo dāstāñ
ab aisī dāstān kā unvān ban ke aa
jo log zindagī meñ haiñ ġham se shikasta-dil
zehnoñ meñ un ke vaqt kā tūfān ban ke aa
mausam har ek de gayā hai tajrabe hazār
jo pyaar de vo mausamoñ kī jaan ban ke aa
duniyā meñ terī maiñ kabhī hāzir na ho sakā
lekin tū mere dard kā darmān ban ke aa
husn-e-tamam ek din insan ban ke aa
aur kuchh nahin to mera hi arman ban ke aa
roz-e-azal se likhta raha hun jo dastan
ab aisi dastan ka unwan ban ke aa
jo log zindagi mein hain gham se shikasta-dil
zehnon mein un ke waqt ka tufan ban ke aa
mausam har ek de gaya hai tajrabe hazar
jo pyar de wo mausamon ki jaan ban ke aa
duniya mein teri main kabhi hazir na ho saka
lekin tu mere dard ka darman ban ke aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.