husn-e-yusuf kise kahte hain zuleKHa kya hai
husn-e-yusuf kise kahte hain zuleKHa kya hai
Syeda Nafis Bano shama
MORE BYSyeda Nafis Bano shama
husn-e-yūsuf kise kahte haiñ zuleḳhā kyā hai
ishq ik ramz hai nādāñ abhī samjhā kyā hai
falsafe ishq ke ab kaun kise samjhā.e
har taraf us kī tajallī hai to pardā kyā hai
tū ne dekhe to bahut hoñge umaDte sāgar
merī āñkhoñ se kabhī pūchh ki dariyā kyā hai
yaar ke jalvoñ meñ īmān mukammal kar luuñ
merī jannat hai yahīñ arsh pe rakkhā kyā hai
'sham.a' itnā to kabhī us kī samajh meñ aa.e
Dūbtī kashtī kā sāhil se taqāza kyā hai
husn-e-yusuf kise kahte hain zuleKHa kya hai
ishq ek ramz hai nadan abhi samjha kya hai
falsafe ishq ke ab kaun kise samjhae
har taraf us ki tajalli hai to parda kya hai
tu ne dekhe to bahut honge umaDte sagar
meri aankhon se kabhi puchh ki dariya kya hai
yar ke jalwon mein iman mukammal kar lun
meri jannat hai yahin arsh pe rakkha kya hai
'shama' itna to kabhi us ki samajh mein aae
Dubti kashti ka sahil se taqaza kya hai
- Book : Mehki Mehki Raat (Pg. 56)
- Author : Syeda Nafis Bano Shama
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.