husn hai mehrban tajjub hai
husn hai mehrbāñ ta.ajjub hai
phir bhī ham bad-gumāñ ta.ajjub hai
aamad aamad thī mausam-e-gul kī
jal gayā āshiyāñ ta.ajjub hai
jo bhaTakte the pahuñche manzil par
kho ga.e kārvāñ ta.ajjub hai
garm thī kal to aish kī mahfil
aaj mātam vahāñ ta.ajjub hai
phuul jhaḌte the har ghaḌī jin se
un laboñ par fuġhāñ ta.ajjub hai
tauba kī thī sharāb-ḳhāne se
aa ga.e phir yahāñ ta.ajjub hai
kū-e-jānāñ kī sar-zamīñ jaise
ban ga.ī āsmāñ ta.ajjub hai
husn hai mehrban tajjub hai
phir bhi hum bad-guman tajjub hai
aamad aamad thi mausam-e-gul ki
jal gaya aashiyan tajjub hai
jo bhaTakte the pahunche manzil par
kho gae karwan tajjub hai
garm thi kal to aish ki mahfil
aaj matam wahan tajjub hai
phul jhaDte the har ghaDi jin se
un labon par fughan tajjub hai
tauba ki thi sharab-KHane se
aa gae phir yahan tajjub hai
ku-e-jaanan ki sar-zamin jaise
ban gai aasman tajjub hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.