husn ho paedar na-mumkin
husn ho pā.edār nā-mumkin
mustaqil ho bahār nā-mumkin
tajrabe kī binā pe kahtā huuñ
ranj-o-ġham se farār nā-mumkin
aise be-iḳhtiyār mausam meñ
dil pe ho iḳhtiyār nā-mumkin
merī barbādiyāñ bajā lekin
koī ho sharmsār nā-mumkin
marhaloñ kā shumār mumkin hai
hausloñ kā shumār nā-mumkin
kitne aa.eñ taġhayyurāt magar
nuur ban jaa.e naar nā-mumkin
chashm-e-maigūñ kā faiz hai varna
be-piye ho ḳhumār nā-mumkin
ahd vo aa gayā 'ziyā' jis meñ
farq-e-lail-o-nahār nā-mumkin
husn ho paedar na-mumkin
mustaqil ho bahaar na-mumkin
tajrabe ki bina pe kahta hun
ranj-o-gham se farar na-mumkin
aise be-iKHtiyar mausam mein
dil pe ho iKHtiyar na-mumkin
meri barbaadiyan baja lekin
koi ho sharmsar na-mumkin
marhalon ka shumar mumkin hai
hauslon ka shumar na-mumkin
kitne aaen taghayyuraat magar
nur ban jae nar na-mumkin
chashm-e-maigun ka faiz hai warna
be-piye ho KHumar na-mumkin
ahd wo aa gaya 'ziya' jis mein
farq-e-lail-o-nahaar na-mumkin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.