husn jab be-naqab hota hai
husn jab be-naqāb hotā hai
ishq ḳhāna-ḳharāb hotā hai
kitne ma.asūm dil jalā Daale
ik qayāmat shabāb hotā hai
ġhair se bāñdhte ho ahd-e-vafā
ham se lekin hijāb hotā hai
maiñ ne maanā ki ḳhvāb hai ulfat
kitnā shīrīñ ye ḳhvāb hotā hai
kis kī nazroñ se pī rahā huuñ maiñ
kaun mast-e-sharāb hotā hai
jab lab-e-bām aap aate haiñ
jalva-gar māhtāb hotā hai
aa.ina us ke rū-ba-rū ho to vo
aap apnā javāb hotā hai
husn jab be-naqab hota hai
ishq KHana-KHarab hota hai
kitne masum dil jala Dale
ek qayamat shabab hota hai
ghair se bandhte ho ahd-e-wafa
hum se lekin hijab hota hai
main ne mana ki KHwab hai ulfat
kitna shirin ye KHwab hota hai
kis ki nazron se pi raha hun main
kaun mast-e-sharab hota hai
jab lab-e-baam aap aate hain
jalwa-gar mahtab hota hai
aaina us ke ru-ba-ru ho to wo
aap apna jawab hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.