husn ka haal ye ba-dida-e-tar dekha hai
husn kā haal ye bā-dīda-e-tar dekhā hai
dar-ba-dar ḳhāk-basar shām-o-sahar dekhā hai
in gunahgār nigāhoñ ne jidhar dekhā hai
ek ujḌā huā sapnoñ kā nagar dekhā hai
dil-e-ḳhush-fahm ne ik ḳhvāb-e-shajar dekhā hai
shomī-e-baḳht ki be-barg-o-samar dekhā hai
dād-ḳhvāhī kī nahīñ ahl-e-chaman ko taufīq
jaan dene meñ asīroñ ne mafar dekhā hai
āḳhir-e-kār huā qaid-e-zamīñ se āzād
māh-o-anjum ne ye iqdām-e-bashar dekhā hai
maslahat-kosh rafīqoñ se hai duurī lāzim
na hue vaqt pe vo sīna-sipar dekhā hai
jaise ho ġhaib se muzhda koī aane vaalā
maiñ ne paiham kabhī yuuñ jānib-e-dar dekhā hai
husn ka haal ye ba-dida-e-tar dekha hai
dar-ba-dar KHak-basar sham-o-sahar dekha hai
in gunahgar nigahon ne jidhar dekha hai
ek ujDa hua sapnon ka nagar dekha hai
dil-e-KHush-fahm ne ek KHwab-e-shajar dekha hai
shomi-e-baKHt ki be-barg-o-samar dekha hai
dad-KHwahi ki nahin ahl-e-chaman ko taufiq
jaan dene mein asiron ne mafar dekha hai
aaKHir-e-kar hua qaid-e-zamin se aazad
mah-o-anjum ne ye iqdam-e-bashar dekha hai
maslahat-kosh rafiqon se hai duri lazim
na hue waqt pe wo sina-sipar dekha hai
jaise ho ghaib se muzhda koi aane wala
main ne paiham kabhi yun jaanib-e-dar dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.