husn ka hai kaisa ye bazar tere shahr mein
husn kā hai kaisā ye bāzār tere shahr meñ
jis ne dekhā ho gayā bīmār tere shahr meñ
aa ga.e haiñ ham bhī ai sarkār tere shahr meñ
dil meñ le ke hasrat-e-dīdār tere shahr meñ
tum pe hī mauqūf hai zauq-e-tajallī is liye
arsh se haiñ farsh tak anvār tere shahr meñ
jab vafā kā zikr apnoñ ne kiyā to daf.atan
ham ko yaad aane lage aġhyār tere shahr meñ
kam-nigāhī kā zamāne kī bhalā shikva hī kyā
ham se to apne bhī haiñ bezār tere shahr meñ
shaam hī se hai mirī nazroñ meñ ai 'ḳhālid' ayaañ
sub.h kā vo hashr hāl-e-zār tere shahr meñ
husn ka hai kaisa ye bazar tere shahr mein
jis ne dekha ho gaya bimar tere shahr mein
aa gae hain hum bhi ai sarkar tere shahr mein
dil mein le ke hasrat-e-didar tere shahr mein
tum pe hi mauquf hai zauq-e-tajalli is liye
arsh se hain farsh tak anwar tere shahr mein
jab wafa ka zikr apnon ne kiya to dafatan
hum ko yaad aane lage aghyar tere shahr mein
kam-nigahi ka zamane ki bhala shikwa hi kya
hum se to apne bhi hain bezar tere shahr mein
sham hi se hai meri nazron mein ai 'KHalid' ayan
subh ka wo hashr haal-e-zar tere shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.