husn ka imkan samjha der se
husn kā imkān samjhā der se
maiñ naf’-nuqsān samjhā der se
us ke 'āshiq us ke baare meñ mirā
bhar rahe the kaan samjhā der se
mujh ko pahle din se us se 'ishq thā
aur vo nādān samjhā der se
jo samajhnā zindagī kī shart thī
us ko hī insān samjhā der se
husn ka imkan samjha der se
main naf’-nuqsan samjha der se
us ke 'ashiq us ke bare mein mera
bhar rahe the kan samjha der se
mujh ko pahle din se us se 'ishq tha
aur wo nadan samjha der se
jo samajhna zindagi ki shart thi
us ko hi insan samjha der se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.