husn ka talib agar hai ishq ke aazar khinch
husn kā tālib agar hai ishq ke āzār khīñch
sadma-e-hijr-e-masīhā ai dil-e-bīmār khīñch
jāñ-nisāroñ par na zālim har ghaḌī talvār khīñch
ḳhuun se apne vafādāroñ ke haath ai yaar khīñch
ruḳh par āñchal kā na parda ai parī-ruḳhsār khīñch
dīda-e-ushshāq par ai gul na yuuñ dīvār khīñch
mard-e-maidān-e-mohabbat hai to ai rustam nikal
kuchh sakat ho to kamān-e-abrū-e-ḳhamdār khīñch
āshiq-e-rū-e-butāñ ko nighat-e-gul se ġharaz
ho sake to ai sabā itr-e-gul-e-ruḳhsār khīñch
hai jo har sūrat meñ manzūr us kā nazzāra tujhe
ġhāfil āñkhoñ se tū apne parda-e-pindār khīñch
hashr ko arsa hai kyā is va.ade ko bhī dekh leñ
ḳhair thoḌī aur iizā ai dil-e-bīmār khīñch
der se hāzir haiñ qātil ma.arka meñ kushtanī
pesh-o-pas kis baat kā hai myaan se talvār khīñch
saath ġhairoñ ke na jā sair-e-chaman ko ai hasīn
mujh ko kāñToñ par na tū ai ġhairat-e-gul-zār khīñch
ho gayā kyā sāya-e-bāl-e-humā saaya tirā
is qadar duur aap ko mujh se na ai dīvār khīñch
sab pe yaksāñ chashm-e-rahmat terī saaqī chāhiye
is taraf bhī to nigāh-e-nāz kī talvār khīñch
sūrat-e-tasvīr hairāñ ho gayā hai aap vo
kyā kahūñ maanī se maiñ tasvīr-e-rū-e-yār khīñch
ai mirī taqdīr ab le chal madīne kī taraf
jazba-e-dil jānib-e-bat.hā mujhe ik baar khīñch
hūreñ le jā.eñgī pairāhan basāne ke liye
itr ḳhāk-e-pāk-e-taiba kā to ai attār khīñch
ai zuleḳhā hai ye ādāb-e-mohabbat se ba-sad
shahr-e-kan.ān se na yūsuf ko sū-e-bāzār khīñch
ham se dīvānoñ kī hai jāgīr meñ taiba kā dasht
ai junūñ majnūñ hī ko tū jānib-e-kohsār khīñch
hai javār-e-hazrat-e-mahbūb-e-haq 'akbar' kī jā
jānib-e-jannat na ai rizvān ise zinhār khīñch
husn ka talib agar hai ishq ke aazar khinch
sadma-e-hijr-e-masiha ai dil-e-bimar khinch
jaan-nisaron par na zalim har ghaDi talwar khinch
KHun se apne wafadaron ke hath ai yar khinch
ruKH par aanchal ka na parda ai pari-ruKHsar khinch
dida-e-ushshaq par ai gul na yun diwar khinch
mard-e-maidan-e-mohabbat hai to ai rustam nikal
kuchh sakat ho to kaman-e-abru-e-KHamdar khinch
aashiq-e-ru-e-butan ko nighat-e-gul se gharaz
ho sake to ai saba itr-e-gul-e-ruKHsar khinch
hai jo har surat mein manzur us ka nazzara tujhe
ghafil aankhon se tu apne parda-e-pindar khinch
hashr ko arsa hai kya is wade ko bhi dekh len
KHair thoDi aur iza ai dil-e-bimar khinch
der se hazir hain qatil marka mein kushtani
pesh-o-pas kis baat ka hai myan se talwar khinch
sath ghairon ke na ja sair-e-chaman ko ai hasin
mujh ko kanTon par na tu ai ghairat-e-gul-zar khinch
ho gaya kya saya-e-baal-e-huma saya tera
is qadar dur aap ko mujh se na ai diwar khinch
sab pe yaksan chashm-e-rahmat teri saqi chahiye
is taraf bhi to nigah-e-naz ki talwar khinch
surat-e-taswir hairan ho gaya hai aap wo
kya kahun mani se main taswir-e-ru-e-yar khinch
ai meri taqdir ab le chal madine ki taraf
jazba-e-dil jaanib-e-batha mujhe ek bar khinch
huren le jaengi pairahan basane ke liye
itr KHak-e-pak-e-taiba ka to ai attar khinch
ai zuleKHa hai ye aadab-e-mohabbat se ba-sad
shahr-e-kanan se na yusuf ko su-e-bazar khinch
hum se diwanon ki hai jagir mein taiba ka dasht
ai junun majnun hi ko tu jaanib-e-kohsar khinch
hai jawar-e-hazrat-e-mahbub-e-haq 'akbar' ki ja
jaanib-e-jannat na ai rizwan ise zinhaar khinch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.