husn kabe ka hai koi na sanam-KHane ka
husn ka.abe kā hai koī na sanam-ḳhāne kā
sirf ik husn-e-nazar hai tire dīvāne kā
ishq rusvā bhī hai majbūr bhī dīvāna bhī
aur abhī ḳhair se āġhāz hai afsāne kā
kār-farmā tire jalvoñ kī kashish hai varna
sham.a se duur kā rishta nahīñ parvāne kā
yahī takmīl-e-mohabbat kī hai manzil shāyad
hosh apnā mujhe baaqī hai na begāne kā
kaun samjhegā mire dard-e-mohabbat ko yahāñ
hai haqīqat magar andāz hai afsāne kā
husn ḳhud sarf-e-tamāshā ho do-ālam kyā hai
parda uTThe to sahī ishq ke dīvāne kā
sub.h kī chhāñv meñ chauñke to haiñ ġhāfil lekin
sham.a kā sog ki mātam kareñ parvāne kā
tum ne barbād kiyā bhī to is ehsān ke saath
jaise muddat se mujhe shauq thā miT jaane kā
dasht-e-ġhurbat se palaTtā huuñ maiñ jab sū-e-vatan
pūchh letā huuñ nishāñ barq se kāshāne kā
jhilmilāte hue tāroñ pe ye hotā hai gumāñ
ye bhī ik rang hai goyā mire afsāne kā
ahl-e-mai-ḳhāna liye phirte haiñ āñkhoñ meñ 'adīb'
reza-reza mire TuuTe hue paimāne kā
husn kabe ka hai koi na sanam-KHane ka
sirf ek husn-e-nazar hai tere diwane ka
ishq ruswa bhi hai majbur bhi diwana bhi
aur abhi KHair se aaghaz hai afsane ka
kar-farma tere jalwon ki kashish hai warna
shama se dur ka rishta nahin parwane ka
yahi takmil-e-mohabbat ki hai manzil shayad
hosh apna mujhe baqi hai na begane ka
kaun samjhega mere dard-e-mohabbat ko yahan
hai haqiqat magar andaz hai afsane ka
husn KHud sarf-e-tamasha ho do-alam kya hai
parda uTThe to sahi ishq ke diwane ka
subh ki chhanw mein chaunke to hain ghafil lekin
shama ka sog ki matam karen parwane ka
tum ne barbaad kiya bhi to is ehsan ke sath
jaise muddat se mujhe shauq tha miT jaane ka
dasht-e-ghurbat se palaTta hun main jab su-e-watan
puchh leta hun nishan barq se kashane ka
jhilmilate hue taron pe ye hota hai guman
ye bhi ek rang hai goya mere afsane ka
ahl-e-mai-KHana liye phirte hain aankhon mein 'adib'
reza-reza mere TuTe hue paimane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.