husn kaisa ishq bhi ruswa hua
husn kaisā ishq bhī rusvā huā
yuuñ taqāzā-e-junūñ puurā huā
kam-nigāhī kā tirī shikva nahīñ
apnī āñkheñ khul ga.iiñ achchhā huā
ruuh yuuñ niklī tire bīmār kī
jaise bujh jaa.e diyā jaltā huā
rakh liyā muusā ne jalvoñ kā bharam
hosh kho baiThe bahut achchhā huā
sāġhar-e-jam se to naḳhvat baḌh ga.ī
sāqiyā jām-e-sifālīñ kyā huā
ham ba-qadr-e-zarf pī kar jab uThe
daur-e-mai bhī ruk gayā chaltā huā
ḳhār-hā-e-dasht hī se pūchh lo
hashr jo kuchh ābla-pā kā huā
bahr-e-ġham kī nazr lākhoñ ho ga.e
aaj tak ubhrā koī Duubā huā
ab 'riyāzī' lutf-e-mai-noshī kahāñ
hai nizām-e-maikada badlā huā
husn kaisa ishq bhi ruswa hua
yun taqaza-e-junun pura hua
kam-nigahi ka teri shikwa nahin
apni aankhen khul gain achchha hua
ruh yun nikli tere bimar ki
jaise bujh jae diya jalta hua
rakh liya musa ne jalwon ka bharam
hosh kho baiThe bahut achchha hua
saghar-e-jam se to naKHwat baDh gai
saqiya jam-e-sifalin kya hua
hum ba-qadr-e-zarf pi kar jab uThe
daur-e-mai bhi ruk gaya chalta hua
KHar-ha-e-dasht hi se puchh lo
hashr jo kuchh aabla-pa ka hua
bahr-e-gham ki nazr lakhon ho gae
aaj tak ubhra koi Duba hua
ab 'riyazi' lutf-e-mai-noshi kahan
hai nizam-e-maikada badla hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.