husn ke danke ki dhum jag mein paDi ja-ba-ja
husn ke dañke kī dhuum jag meñ paḌī jā-ba-jā
kyuuñ na baje dil mane ishq kī naubat sadā
āshiq-e-be-jāñ ne aaj dil satī ai rūh-baḳhsh
tujh kuuñ kahā dekh kar jaan bayā marhabā
bulbul-e-shīrāz ne chhoḌ diyā ishq-e-gul
ġhuncha-dahan ko sunā baat meñ jab ḳhush-adā
sarv huā hai khaḌā terī tavāzo.a katīñ
jab siiñ sunā baaġh meñ qad ko tire dil-rubā
terā daras paane ko dauḌ kar aayā chakor
buujh tire chehre ko ġhairat-e-badruddujā
shauq kā nāzuk daraḳht ḳhushk huā dard suuñ
husn ke bustāñ meñ tū chup se huā bevafā
baaġh meñ laalā kahe dekh ke nargis taraf
chashm kā bīmār ho kyūñki khaḌā be-asā
laaf na maar ai raqīb majlis-e-ushshāq meñ
dil mane begāna hai tujh satī vo āshnā
phuul gayā sūñgh maiñ tere badan kī so baas
ho ke tire paas jab mujh kane aayā sabā
bas-ki tire aane kī baaġh mane thī ḳhabar
shauq se be-iḳhtiyār gul ne kahā hal-atā
mauj-e-havādis satī mujh kuuñ nahīñ ġham kabhī
kashtī-e-hastī upar bas-ki tū hai nāḳhudā
taan tire muñh se sun vajd kare tansen
pakḌe apas kaan kuuñ jab vo sune kānhrā
yaad suuñ terī jo dil ḳhālī-o-ġhāfil hai nit
us dil-e-be-hosh kā naam hai bait-ul-ḳhalā
kūcha-e-sarbasta-e-zulf meñ hairāñ hove
ishq-e-siyah-chashm kā jis kā hove rahnumā
aañkh tirī sahar ko phande meñ de hiran kuuñ
zulf tirī pech suuñ dil ko deve hai phañsā
mujmar-e-sīna mane kyuuñ na jale jiyūñ sipand
dil kuuñ lagī chaTpaTī jab se huā tuuñ judā
ishq ke bīmār kuuñ kaam tabībāñ suuñ na.iiñ
vasl kī tabrīd bin aur nahīñ hai davā
haal mire dard kā pūchh kabhī aan kar
lutf ke qānūn se mujh kuuñ milegī shifā
terī kamar dekh kar dañg haiñ bārīk-bīñ
kyuuñ na hove mū-ba-mū tujh pe fidā 'mubtalā'
husn ke danke ki dhum jag mein paDi ja-ba-ja
kyun na baje dil mane ishq ki naubat sada
aashiq-e-be-jaan ne aaj dil sati ai ruh-baKHsh
tujh kun kaha dekh kar jaan baya marhaba
bulbul-e-shiraaz ne chhoD diya ishq-e-gul
ghuncha-dahan ko suna baat mein jab KHush-ada
sarw hua hai khaDa teri tawazoa katin
jab sin suna bagh mein qad ko tere dil-ruba
tera daras pane ko dauD kar aaya chakor
bujh tere chehre ko ghairat-e-badrudduja
shauq ka nazuk daraKHt KHushk hua dard sun
husn ke bustan mein tu chup se hua bewafa
bagh mein lala kahe dekh ke nargis taraf
chashm ka bimar ho kyunki khaDa be-asa
laf na mar ai raqib majlis-e-ushshaq mein
dil mane begana hai tujh sati wo aashna
phul gaya sungh main tere badan ki so bas
ho ke tere pas jab mujh kane aaya saba
bas-ki tere aane ki bagh mane thi KHabar
shauq se be-iKHtiyar gul ne kaha hal-ata
mauj-e-hawadis sati mujh kun nahin gham kabhi
kashti-e-hasti upar bas-ki tu hai naKHuda
tan tere munh se sun wajd kare tansen
pakDe apas kan kun jab wo sune kanhra
yaad sun teri jo dil KHali-o-ghafil hai nit
us dil-e-be-hosh ka nam hai bait-ul-KHala
kucha-e-sarbasta-e-zulf mein hairan howe
ishq-e-siyah-chashm ka jis ka howe rahnuma
aankh teri sahar ko phande mein de hiran kun
zulf teri pech sun dil ko dewe hai phansa
mujmar-e-sina mane kyun na jale jiyun sipand
dil kun lagi chaTpaTi jab se hua tun juda
ishq ke bimar kun kaam tabiban sun nain
wasl ki tabrid bin aur nahin hai dawa
haal mere dard ka puchh kabhi aan kar
lutf ke qanun se mujh kun milegi shifa
teri kamar dekh kar dang hain barik-bin
kyun na howe mu-ba-mu tujh pe fida 'mubtala'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.