husn KHud ban gaya tamashai
husn ḳhud ban gayā tamāshā.ī
marhabā ai junūn-e-rusvā.ī
husn ne lī azal meñ añgḌā.ī
ishq ne choT ruuh par khaa.ī
jo tirī raah meñ huī pāmāl
haa.e us zindagī kī ra.anā.ī
jalve ḳhud un ke ban ga.e parde
qurbat-e-husn bhī na raas aa.ī
āb-o-gil se yahāñ kise matlab
justujū kī hai kār-farmā.ī
husn hī husn jalva hī jalva
kaisī duurī kahāñ kī tanhā.ī
har-nafas ik payām hai un kā
har-qadam par hai himmat-afzā.ī
rū-ba-rū un ke dam-ba-ḳhud ho 'bashīr'
kyā huī shaan shān-e-goyā.ī
husn KHud ban gaya tamashai
marhaba ai junun-e-ruswai
husn ne li azal mein angDai
ishq ne choT ruh par khai
jo teri rah mein hui pamal
hae us zindagi ki ranai
jalwe KHud un ke ban gae parde
qurbat-e-husn bhi na ras aai
aab-o-gil se yahan kise matlab
justuju ki hai kar-farmai
husn hi husn jalwa hi jalwa
kaisi duri kahan ki tanhai
har-nafas ek payam hai un ka
har-qadam par hai himmat-afzai
ru-ba-ru un ke dam-ba-KHud ho 'bashir'
kya hui shan shan-e-goyai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.