husn ki barq-bariyan tauba
husn kī barq-bāriyāñ tauba
ishq par tāza-kāriyāñ tauba
dil lagāte hī hosh kho baiThe
shauq kī be-qarāriyāñ tauba
āḳhirash dil ko ḳhaak kar Daalā
aah kī shola-bāriyāñ tauba
ġhair rabt ham se be-rabtī
yaar kī aisī yāriyāñ tauba
chashm-e-tar ab to zabt-e-girya kar
yuuñ bhī kyā ashk-bāriyāñ tauba
ham raheñ shauq-e-dīd meñ kab tak
dil kī ummīdvāriyāñ tauba
arsa-e-hijr-e-yār meñ 'irfāñ'
dard kī ġham-gusāriyāñ tauba
husn ki barq-bariyan tauba
ishq par taza-kariyan tauba
dil lagate hi hosh kho baiThe
shauq ki be-qarariyan tauba
aaKHirash dil ko KHak kar Dala
aah ki shola-bariyan tauba
ghair rabt hum se be-rabti
yar ki aisi yariyan tauba
chashm-e-tar ab to zabt-e-girya kar
yun bhi kya ashk-bariyan tauba
hum rahen shauq-e-did mein kab tak
dil ki ummidwariyan tauba
arsa-e-hijr-e-yar mein 'irfan'
dard ki gham-gusariyan tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.