husn ki bijliyan al-aman al-aman
husn kī bijliyāñ al-amāñ al-amāñ
ishq kī garmiyāñ jāvedāñ jāvedāñ
baaġh meñ gar nasheman jalā kyā huā
ġham hai sahrā hue gulsitāñ gulsitāñ
kuchh na mahmil-nashīñ kā pata mil sakā
ham phire DhūñDte kārvāñ kārvāñ
bāġh-e-ālam meñ gar koī bijlī girī
raushnī ho ga.ī āshiyāñ āshiyāñ
hai yaqīnan koī baat aisī ki tum
ho tabassum ba-lab shādmāñ shādmāñ
ek din ġhuncha-e-dil bhī khil jā.egā
aa.egī fasl-e-gul gulsitāñ gulsitāñ
kyā asar kuchh girānī kā tum par nahīñ
'shams' phirte ho kyuuñ shādmāñ shādmāñ
husn ki bijliyan al-aman al-aman
ishq ki garmiyan jawedan jawedan
bagh mein gar nasheman jala kya hua
gham hai sahra hue gulsitan gulsitan
kuchh na mahmil-nashin ka pata mil saka
hum phire DhunDte karwan karwan
bagh-e-alam mein gar koi bijli giri
raushni ho gai aashiyan aashiyan
hai yaqinan koi baat aisi ki tum
ho tabassum ba-lab shadman shadman
ek din ghuncha-e-dil bhi khil jaega
aaegi fasl-e-gul gulsitan gulsitan
kya asar kuchh girani ka tum par nahin
'shams' phirte ho kyun shadman shadman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.