husn ki chaaragari ne ek karishma kar diya
husn kī chāragarī ne ek karishma kar diyā
haath se chhū kar faqat bīmār achchhā kar diyā
dāl-roTī khā ke muflis kaaT lete the magar
ab siyāsat ne use bhī ḳhvāb jaisā kar diyā
ek misre par rukā thā silsila jo der se
us ne dekhā muskurā kar sher puurā kar diyā
shahr meñ chehre the yuuñ kahne ko to sab muḳhtalif
ishq ne har ek chehra aap jaisā kar diyā
ik anā jo dil ke andar chhup ke baiThī thī mire
us ne merī har duā ko be-natīja kar diyā
husn ki chaaragari ne ek karishma kar diya
hath se chhu kar faqat bimar achchha kar diya
dal-roTi kha ke muflis kaT lete the magar
ab siyasat ne use bhi KHwab jaisa kar diya
ek misre par ruka tha silsila jo der se
us ne dekha muskura kar sher pura kar diya
shahr mein chehre the yun kahne ko to sab muKHtalif
ishq ne har ek chehra aap jaisa kar diya
ek ana jo dil ke andar chhup ke baiThi thi mere
us ne meri har dua ko be-natija kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.