husn ki dilkashi nahin jati
husn kī dilkashī nahīñ jaatī
aañkh kī tishnagī nahīñ jaatī
aap kī sādgī nahīñ jaatī
is liye dilkashī nahīñ jaatī
terī zulfoñ ke pech-o-ḳham tauba
merī dīvāngī nahīñ jaatī
baat kyā hai mire nasheman se
barq kī dushmanī nahīñ jaatī
taḳhta-e-dār ho ki qaid-e-rasan
ishq kī ḳhud-sarī nahīñ jaatī
ḳhvāh rusvā sahī zamāne meñ
azmat-e-āshiqī nahīñ jaatī
husn kī chashm-e-mai-chakāñ tauba
ḳhvāhish-e-mai-kashī nahīñ jaatī
baat dil kī na pūchhiye 'aḳhtar'
baat dil kī kahī nahīñ jaatī
husn ki dilkashi nahin jati
aankh ki tishnagi nahin jati
aap ki sadgi nahin jati
is liye dilkashi nahin jati
teri zulfon ke pech-o-KHam tauba
meri diwangi nahin jati
baat kya hai mere nasheman se
barq ki dushmani nahin jati
taKHta-e-dar ho ki qaid-e-rasan
ishq ki KHud-sari nahin jati
KHwah ruswa sahi zamane mein
azmat-e-ashiqi nahin jati
husn ki chashm-e-mai-chakan tauba
KHwahish-e-mai-kashi nahin jati
baat dil ki na puchhiye 'aKHtar'
baat dil ki kahi nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.