husn kī gar zakāt pā.ūñ maiñ
to bhikārī tirā kahā.ūñ maiñ
ek bosa do dūsrā tauba
phir jo māñgūñ to maar khā.ūñ maiñ
is tarah luuñ ki bhaap bhī na lage
hoñT se muñh agar milā.ūñ maiñ
shahr ko chhoḌ kar nikal jā.ūñ
haañ tujhe muñh na phir dikhā.ūñ maiñ
husn ki gar zakat paun main
to bhikari tera kahaun main
ek bosa do dusra tauba
phir jo mangun to mar khaun main
is tarah lun ki bhap bhi na lage
honT se munh agar milaun main
shahr ko chhoD kar nikal jaun
han tujhe munh na phir dikhaun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.