husn ki ranginiyan kya jalwa-saman ho gain
husn kī rangīniyāñ kyā jalva-sāmāñ ho ga.iiñ
dil kī āñkheñ sar-ba-sar aiman-ba-dāmāñ ho ga.iiñ
tūr-sāmānī 'ayāñ fitrat kī har zarre se hai
terī āñkheñ dekh kar har gul ko hairāñ ho ga.iiñ
jalva be-parda thā fart-e-shauq ne Daalī naqāb
ye nigāheñ muztarib ho kar pareshāñ ho ga.iiñ
jin umīdoñ se banā thā ḳhāna-e-dil rashk-e-gul
ab vahī is ghar kī barbādī kā sāmāñ ho ga.ī
husn ki ranginiyan kya jalwa-saman ho gain
dil ki aankhen sar-ba-sar aiman-ba-daman ho gain
tur-samani 'ayan fitrat ki har zarre se hai
teri aankhen dekh kar har gul ko hairan ho gain
jalwa be-parda tha fart-e-shauq ne Dali naqab
ye nigahen muztarib ho kar pareshan ho gain
jin umidon se bana tha KHana-e-dil rashk-e-gul
ab wahi is ghar ki barbaadi ka saman ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.