husn ki tamhid par misra uTha
husn kī tamhīd par misrā uThā
tab kahīñ fan se mire pardā uThā
kaash mujh par bhī paḌe terī nazar
is liye sau baar maiñ baiThā uThā
kaam na aa.ī tirī dariyā-dilī
dekh tere dar se maiñ pyāsā uThā
hijr meñ kis ne mire Daalā ḳhalal
shor ye kaisā sar-e-sahrā uThā
maut ke imkān haiñ is ishq meñ
gar uThā paa.e to ye ḳhatrā uThā
chhūne kī quvvat tah-e-ādāb thī
us kī jānib haath larzīda uThā
Daal de kashkol meñ ummīd kuchh
ham faqīroñ ko na yuuñ bhūkā uThā
ham-nivāla dost hai na tū mirā
le mirī thālī se kuchh faaqa uThā
nā-umīdī ishq kā hāsil mirā
bazm se terī maiñ nam-dīda uThā
dost is duniyā meñ jiinā hai agar
iltijā.eñ chhoḌ kar fitna uThā
qatl karnā hai mujhe to qatl kar
soch mat pāgal uThā neza uThā
aap kahte haiñ ki zarra hai 'karan'
arsh chhū legā agar zarra uThā
husn ki tamhid par misra uTha
tab kahin fan se mere parda uTha
kash mujh par bhi paDe teri nazar
is liye sau bar main baiTha uTha
kaam na aai teri dariya-dili
dekh tere dar se main pyasa uTha
hijr mein kis ne mere Dala KHalal
shor ye kaisa sar-e-sahra uTha
maut ke imkan hain is ishq mein
gar uTha pae to ye KHatra uTha
chhune ki quwwat tah-e-adab thi
us ki jaanib hath larzida uTha
Dal de kashkol mein ummid kuchh
hum faqiron ko na yun bhuka uTha
ham-niwala dost hai na tu mera
le meri thaali se kuchh faqa uTha
na-umidi ishq ka hasil mera
bazm se teri main nam-dida uTha
dost is duniya mein jina hai agar
iltijaen chhoD kar fitna uTha
qatl karna hai mujhe to qatl kar
soch mat pagal uTha neza uTha
aap kahte hain ki zarra hai 'karan'
arsh chhu lega agar zarra uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.