husn kis roz humse saf hua
husn kis roz ham se saaf huā
gunah-e-ishq kab mu'āf huā
le liyā shukr kar ke saaqī se
dard is meñ huā ki saaf huā
teġh-e-qātil par apnā ḳhuuñ jam kar
maḳhmal-e-surḳh kā ġhilāf huā
zahr parhez ho gayā mujh ko
dard darmāñ se almuzāf huā
ḳhāksārī kī ho chukī me'rāj
siina apnā zamīn-e-sāf huā
kamar-e-yār ne dikhā.ī aañkh
mardum-e-dīda ḳhāl-e-nāf huā
vā'da jhūTā nakarda mard nahīñ
qaul se fe'l jab ḳhilāf huā
fātiha ko jo vo parī aa.ī
sañg-e-qabr apnā koh-e-qāf huā
us kamar ke subūt meñ 'ājiz
fikr kar kar ke mūshigāf huā
riñd-mashrab huuñ mujh ko kyā hove
maz.haboñ meñ jo iḳhtilāf huā
vo dahan huuñ na niklā harf-e-ġhurūr
vo zabāñ huuñ na jis se laaf huā
gird is kūcha ke phirā 'ātish'
haajī se kā'ba kā tavāf huā
husn kis roz hum se saf hua
gunah-e-ishq kab mu'af hua
le liya shukr kar ke saqi se
dard is mein hua ki saf hua
tegh-e-qatil par apna KHun jam kar
maKHmal-e-surKH ka ghilaf hua
zahr parhez ho gaya mujh ko
dard darman se almuzaf hua
KHaksari ki ho chuki me'raj
sina apna zamin-e-saf hua
kamar-e-yar ne dikhai aankh
mardum-e-dida KHal-e-naf hua
wa'da jhuTa nakarda mard nahin
qaul se fe'l jab KHilaf hua
fatiha ko jo wo pari aai
sang-e-qabr apna koh-e-qaf hua
us kamar ke subut mein 'ajiz
fikr kar kar ke mushigaf hua
rind-mashrab hun mujh ko kya howe
mazhabon mein jo iKHtilaf hua
wo dahan hun na nikla harf-e-ghurur
wo zaban hun na jis se laf hua
gird is kucha ke phira 'atish'
haji se ka'ba ka tawaf hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.