husn kitna sarkash-o-maghrur hai
husn kitnā sarkash-o-maġhrūr hai
ishq jis ke sāmne majbūr hai
allah allah ishq kī ye maslahat
hans rahā huuñ dil magar ranjūr hai
merī nazroñ meñ hī kuchh vus.at nahīñ
varna har jalva misāl-e-tūr hai
sher kahtā huuñ ba-faiz-e-abr maiñ
shā.irī go mujh se kosoñ duur hai
kuchh tavajjoh kījiye 'iqbāl' par
dard-e-furqat meñ bahut majbūr hai
husn kitna sarkash-o-maghrur hai
ishq jis ke samne majbur hai
allah allah ishq ki ye maslahat
hans raha hun dil magar ranjur hai
meri nazron mein hi kuchh wusat nahin
warna har jalwa misal-e-tur hai
sher kahta hun ba-faiz-e-abr main
shairi go mujh se koson dur hai
kuchh tawajjoh kijiye 'iqbaal' par
dard-e-furqat mein bahut majbur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.