husn ko be-naqab dekha hai
husn ko be-naqāb dekhā hai
dil kā aalam ḳharāb dekhā hai
aa.e vo mere ghar ba-sad tamkīñ
maiñ ne shāyad ye ḳhvāb dekhā hai
mast kar de jo saare aalam ko
vo kisī kā shabāb dekhā hai
maiñ ne aksar gunāhgāroñ par
karam-e-be-hisāb dekhā hai
chhupte haiñ aur chhup nahīñ sakte
aisā rañgīñ hijāb dekhā hai
jab huā imtihān-e-husn-o-ishq
husn ko lā-javāb dekhā hai
kyuuñ ho jannat kī aarzū ham ne
kūcha-e-bū-turāb dekhā hai
husn ko be-naqab dekha hai
dil ka aalam KHarab dekha hai
aae wo mere ghar ba-sad tamkin
main ne shayad ye KHwab dekha hai
mast kar de jo sare aalam ko
wo kisi ka shabab dekha hai
main ne aksar gunahgaron par
karam-e-be-hisab dekha hai
chhupte hain aur chhup nahin sakte
aisa rangin hijab dekha hai
jab hua imtihan-e-husn-o-ishq
husn ko la-jawab dekha hai
kyun ho jannat ki aarzu hum ne
kucha-e-bu-turab dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.