husn ko be-naqab hone do
husn ko be-naqāb hone do
ishq ko kāmyāb hone do
ziist ġharq-e-sharāb hone do
har haqīqat ko ḳhvāb hone do
tūr-o-mūsā se māvarā haiñ ham
raaz kā sadd-e-bāb hone do
dekhnā hai abhī hayāt ko jashn
ik nayā inqalāb hone do
maiñ balā-nosh-o-bāda-ḳhvār sahī
merī hastī ḳharāb hone do
aaj kī shab to un kī mahfil meñ
ishq ko bāryāb hone do
multafit koī ho rahā hai 'nazar'
lutf aur be-hisāb hone do
husn ko be-naqab hone do
ishq ko kaamyab hone do
zist gharq-e-sharab hone do
har haqiqat ko KHwab hone do
tur-o-musa se mawara hain hum
raaz ka sadd-e-bab hone do
dekhna hai abhi hayat ko jashn
ek naya inqalab hone do
main bala-nosh-o-baada-KHwar sahi
meri hasti KHarab hone do
aaj ki shab to un ki mahfil mein
ishq ko baryab hone do
multafit koi ho raha hai 'nazar'
lutf aur be-hisab hone do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.