husn ko ghair ki nazron se na parkha jae
husn ko ġhair kī nazroñ se na parkhā jaa.e
dekhne vaale kā me.aar bhī dekhā jaa.e
aao tajdīd-e-vafā ko hī bahāna kar leñ
munjamid dariyā meñ tūfān uThāyā jaa.e
baad muddat ke phir ehsās-e-tarab jaagā hai
phir se palkoñ ko sitāroñ se sajāyā jaa.e
imtihāñ zarf kā apne hī agar lenā hai
kal jo paayā thā chalo aaj vo khoyā jaa.e
husn ko ghair ki nazron se na parkha jae
dekhne wale ka mear bhi dekha jae
aao tajdid-e-wafa ko hi bahana kar len
munjamid dariya mein tufan uThaya jae
baad muddat ke phir ehsas-e-tarab jaga hai
phir se palkon ko sitaron se sajaya jae
imtihan zarf ka apne hi agar lena hai
kal jo paya tha chalo aaj wo khoya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.