husn ko mutlaqan nahin hai sabaat
husn ko mutlaqan nahin hai sabaat
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
husn ko mutlaqan nahīñ hai sabāt
ishq aayā hai pī kar āb-e-hayāt
hijr meñ yuuñ guzarte haiñ lamhāt
ik nafas maut hai to ek hayāt
ishq hai mish.al-e-nazar varna
zindagī kyā hai ik añdherī raat
aql kī istiqāmateñ taslīm
laġhzish-e-be-ḳhudī bhī hai ik baat
maut hai zindagī se be-zārī
zindagī kyā hai ārzū-e-hayāt
ḳhuld-parvar hai har nigāh-e-sahar
ye ḳhat-e-jām hai ki rāh-e-najāt
husn ko mutlaqan nahin hai sabaat
ishq aaya hai pi kar aab-e-hayat
hijr mein yun guzarte hain lamhat
ek nafas maut hai to ek hayat
ishq hai mishal-e-nazar warna
zindagi kya hai ek andheri raat
aql ki istiqamaten taslim
laghzish-e-be-KHudi bhi hai ek baat
maut hai zindagi se be-zari
zindagi kya hai aarzu-e-hayat
KHuld-parwar hai har nigah-e-sahar
ye KHat-e-jam hai ki rah-e-najat
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 173)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.