husn ko samajhta hai ishq ham-zaban apna
husn ko samajhta hai ishq ham-zaban apna
Ali Manzoor Hyderabadi
MORE BYAli Manzoor Hyderabadi
husn ko samajhtā hai ishq ham-zabāñ apnā
hai haqīqat aisī hī yā hai ye gumāñ apnā
faash ham kareñ kyūñkar rāz-e-mudda.ā-yābī
gum husūl-e-maqsad meñ hāsil-e-bayāñ apnā
kārsāz hai kitnī dīd-o-bāz-dīd apnī
mil gayā sila ham ko ba.ad-e-imtihāñ apnā
lutf-e-ranjish-e-bejā aaj donoñ paate haiñ
muskurā rahe haiñ vo dil hai shādmāñ apnā
un kī dil-farebī kā ye javāb hai varna
mujh sā bad-gumāñ samjhe un ko mehrbāñ apnā
kārvāñ ke bhī milte kuchh nishāñ ye nā-mumkin
kuchh asar to chhoḌegī yād-e-kārvāñ apnā
dard-āshnā dil ko dekh kar maiñ kahtā huuñ
yaas de nahīñ saktī aas ko makāñ apnā
bekasī kī manzil se jis kī had nahīñ miltī
is zamīñ pe khīñcheñ ham kis tarah nishāñ apnā
kyā ilaaj hai 'manzūr' is junūñ-ḳhirāmī kā
munfa.il huuñ majnūñ ko kah ke ham-ināñ apnā
husn ko samajhta hai ishq ham-zaban apna
hai haqiqat aisi hi ya hai ye guman apna
fash hum karen kyunkar raaz-e-muddaa-yabi
gum husul-e-maqsad mein hasil-e-bayan apna
karsaz hai kitni did-o-baz-did apni
mil gaya sila hum ko baad-e-imtihan apna
lutf-e-ranjish-e-beja aaj donon pate hain
muskura rahe hain wo dil hai shadman apna
un ki dil-farebi ka ye jawab hai warna
mujh sa bad-guman samjhe un ko mehrban apna
karwan ke bhi milte kuchh nishan ye na-mumkin
kuchh asar to chhoDegi yaad-e-karwan apna
dard-ashna dil ko dekh kar main kahta hun
yas de nahin sakti aas ko makan apna
bekasi ki manzil se jis ki had nahin milti
is zamin pe khinchen hum kis tarah nishan apna
kya ilaj hai 'manzur' is junun-KHirami ka
munfail hun majnun ko kah ke ham-inan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.