husn ko uske KHat ka dagh laga
husn ko us ke ḳhat kā daaġh lagā
par hameñ to bahār o baaġh lagā
ghar se juuñ māh-e-be-hijāb nikal
ab to ai sham.a-rū charāġh lagā
bādshāhoñ kī bazm-e-ishrat se
apnā mat gosha-e-farāġh lagā
ātishīñ ashk ek dam jo thamā
ḳhāna-e-dīda be-charāġh lagā
le ḳhabar ab tū sāqī-e-sar-e-dast
ḳhushk hone mirā dimāġh lagā
kis ko ye ḳhūn-e-dil milī daulat
us ke hoñToñ se jā ayāġh lagā
dil-e-gum-gashta kā mire 'hasrat'
lag sake to kahīñ surāġh lagā
husn ko us ke KHat ka dagh laga
par hamein to bahaar o bagh laga
ghar se jun mah-e-be-hijab nikal
ab to ai shama-ru charagh laga
baadshahon ki bazm-e-ishrat se
apna mat gosha-e-faragh laga
aatishin ashk ek dam jo thama
KHana-e-dida be-charagh laga
le KHabar ab tu saqi-e-sar-e-dast
KHushk hone mera dimagh laga
kis ko ye KHun-e-dil mili daulat
us ke honTon se ja ayagh laga
dil-e-gum-gashta ka mere 'hasrat'
lag sake to kahin suragh laga
- Deewan-e-Hasrat Azeemabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.