husn kya jis ko kisi husn se KHatra na hua
husn kya jis ko kisi husn se KHatra na hua
Rasheed Kausar Farooquee
MORE BYRasheed Kausar Farooquee
husn kyā jis ko kisī husn se ḳhatra na huā
kaun yūsuf hadaf-e-kaid-e-zulaiḳhā na huā
vo payambar bhī nahīñ hogā ḳhudā shāyad ho
paak dāman to rahā shahr meñ rusvā na huā
the nayā chāñd to thiiñ ham se umīdeñ kyā kyā
qaus ke qaus rahe dā.era puurā na huā
larzish-e-lab ko zabāñ koī kumak de na sakī
pūchhne par bhī to elān-e-tamannā na huā
ham girebān-e-shab-e-tār TaTolā hī kiye
kaaj tukmoñ se sile the so ujālā na huā
kyā na chāhā ki banā le mah-e-kan.āñ ko ġhulām
ek buḌhiyā ne bhī afsos ki paisa na huā
nā-sho.ūrī meñ ajab zo.am thā dānā.ī kā
jab zarā aql mujhe aa.ī to dīvāna huā
vārisoñ ko na rahā yaad ki virsa kyā thā
aur kafan bhī shohdā kā abhī mailā na huā
har tamannā ne nikalte hī daġhā dī kaisī
kuchh vafādār vo armāñ thā jo puurā na huā
pyaar be-qaul-o-qasam donoñ taraf ab tak hai
aa paḌī us ko hayā ham se taqāzā na huā
zinda gaaḌe hue bandoñ ke ye sunsān nagar
aaj hī koī zamāne kā masīhā na huā
ye bhī kahtā ki ḳhudā huuñ to jabīñ jhuk jaatī
vaisā insān koī aur to paidā na huā
kunj tak aa ke mujhe suniye ki bulbul koī
aa ke mahfil meñ kabhī zamzama-pairā na huā
husn kya jis ko kisi husn se KHatra na hua
kaun yusuf hadaf-e-kaid-e-zulaiKHa na hua
wo payambar bhi nahin hoga KHuda shayad ho
pak daman to raha shahr mein ruswa na hua
the naya chand to thin hum se umiden kya kya
qaus ke qaus rahe daera pura na hua
larzish-e-lab ko zaban koi kumak de na saki
puchhne par bhi to elan-e-tamanna na hua
hum gireban-e-shab-e-tar TaTola hi kiye
kaj tukmon se sile the so ujala na hua
kya na chaha ki bana le mah-e-kanan ko ghulam
ek buDhiya ne bhi afsos ki paisa na hua
na-shouri mein ajab zoam tha danai ka
jab zara aql mujhe aai to diwana hua
warison ko na raha yaad ki wirsa kya tha
aur kafan bhi shohda ka abhi maila na hua
har tamanna ne nikalte hi dagha di kaisi
kuchh wafadar wo arman tha jo pura na hua
pyar be-qaul-o-qasam donon taraf ab tak hai
aa paDi us ko haya hum se taqaza na hua
zinda gaDe hue bandon ke ye sunsan nagar
aaj hi koi zamane ka masiha na hua
ye bhi kahta ki KHuda hun to jabin jhuk jati
waisa insan koi aur to paida na hua
kunj tak aa ke mujhe suniye ki bulbul koi
aa ke mahfil mein kabhi zamzama-paira na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.