husn masum nahin ishq pe ilzam ke baad
husn ma.asūm nahīñ ishq pe ilzām ke baad
aap kā naam bhī aatā hai mire naam ke baad
hai yahī ālam-e-me.arāj-e-mohabbat shāyad
ab koī naam nahīñ lab pe tire naam ke baad
ab mohabbat kī tumheñ laaj to rakhnī hogī
log lete haiñ tirā naam mire naam ke baad
nā-murādī se mire dil kī ḳhalish kam na huī
tishnagī aur baḌhī hasrat-e-nākām ke baad
uljhaneñ ishq meñ kuchh aur bhī baḌh jaatī haiñ
kabhī āġhāz se pahle kabhī anjām ke baad
maiñ ḳhatāvār-e-mohabbat sahī lekin ai dost
zindagī aur nikhar aa.ī is ilzām ke baad
husn masum nahin ishq pe ilzam ke baad
aap ka nam bhi aata hai mere nam ke baad
hai yahi aalam-e-mearaj-e-mohabbat shayad
ab koi nam nahin lab pe tere nam ke baad
ab mohabbat ki tumhein laj to rakhni hogi
log lete hain tera nam mere nam ke baad
na-muradi se mere dil ki KHalish kam na hui
tishnagi aur baDhi hasrat-e-nakaam ke baad
uljhanen ishq mein kuchh aur bhi baDh jati hain
kabhi aaghaz se pahle kabhi anjam ke baad
main KHatawar-e-mohabbat sahi lekin ai dost
zindagi aur nikhar aai is ilzam ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.