husn mahrum-e-mohabbat hi raha mere baad
husn mahrum-e-mohabbat hi raha mere baad
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
husn mahrūm-e-mohabbat hī rahā mere baad
mujh sā dil-dāda-o-shaidā na milā mere baad
kaun ab ġham kī mudārāt karegā yaaro
kis ke sar jā.egā ilzām-e-vafā mere ba.ad
mahfil-e-nāz meñ kyā kyā na huiiñ tadbīreñ
dil kā shīrāza farāham na huā mere baad
muzhda-e-fasl-e-bahārāñ na sunā gulchīñ ne
ḳhaak uḌātī phirī gulshan meñ sabā mere baad
bujh ga.e mere na hone se charāġhoñ ke nasīb
naqsh-e-pā un ke haiñ mahrūm-e-ziyā mere baa'd
ġham-zada ahl-e-junūñ ahl-e-vafā kuchh to kaho
kis liye dahr meñ kohrām machā mere baad
ḳhushnavāoñ se rahī mahfil-e-duniyā ābād
naġhma-e-‘dard’ kisī ne na sunā mere baa'd
husn mahrum-e-mohabbat hi raha mere baad
mujh sa dil-dada-o-shaida na mila mere baad
kaun ab gham ki mudaraat karega yaro
kis ke sar jaega ilzam-e-wafa mere baad
mahfil-e-naz mein kya kya na huin tadbiren
dil ka shiraaza faraham na hua mere baad
muzhda-e-fasl-e-bahaaran na suna gulchin ne
KHak uDati phiri gulshan mein saba mere baad
bujh gae mere na hone se charaghon ke nasib
naqsh-e-pa un ke hain mahrum-e-ziya mere ba'd
gham-zada ahl-e-junun ahl-e-wafa kuchh to kaho
kis liye dahr mein kohram macha mere baad
KHushnawaon se rahi mahfil-e-duniya aabaad
naghma-e-‘dard’ kisi ne na suna mere ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.