husn mein naz-o-ada ishq mein wahshat kaisi
husn meñ nāz-o-adā ishq meñ vahshat kaisī
is zamāne meñ vafā kaisī mohabbat kaisī
talḳh bātoñ pe ḳhamoshī bhī baḌā azm hai par
gāliyāñ sun ke duā de vo sharāfat kaisī
log ġhālīchoñ pe sajde se bhī katrāte haiñ
teġh ke saa.e meñ karte the ibādat kaisī
ahd-e-ḳhush-hālī kā matlab hī liyā ayyāshī
ab agar TuuT ga.e ho to shikāyat kaisī
koī bolā hai ki shādāñ hai kisī kā ho kar
ho mujhe rañj vo ḳhush hai to mohabbat kaisī
umr bhar tifl-e-tabī.at ko sharārat sūjhī
vaqt-e-āḳhir ye jagī ḳhvāhish-e-jannat kaisī
maskan-e-amn-o-amāñ thā ye vatan 'nazr' mirā
aaj barpā hai har ik samt qayāmat kaisī
husn mein naz-o-ada ishq mein wahshat kaisi
is zamane mein wafa kaisi mohabbat kaisi
talKH baaton pe KHamoshi bhi baDa azm hai par
galiyan sun ke dua de wo sharafat kaisi
log ghaalichon pe sajde se bhi katraate hain
tegh ke sae mein karte the ibaadat kaisi
ahd-e-KHush-haali ka matlab hi liya ayyashi
ab agar TuT gae ho to shikayat kaisi
koi bola hai ki shadan hai kisi ka ho kar
ho mujhe ranj wo KHush hai to mohabbat kaisi
umr bhar tifl-e-tabiat ko shararat sujhi
waqt-e-aKHir ye jagi KHwahish-e-jannat kaisi
maskan-e-amn-o-aman tha ye watan 'nazr' mera
aaj barpa hai har ek samt qayamat kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.