husn muhtaj-e-KHatt-o-Khaal nahin
husn muhtaj-e-KHatt-o-Khaal nahin
Syed Shabbir Hassan Rizvi
MORE BYSyed Shabbir Hassan Rizvi
husn muhtāj-e-ḳhatt-o-ḳhāl nahīñ
ḳhud nazar darḳhur-e-jamāl nahīñ
furqat-o-vasl kā savāl nahīñ
be-dilī terā koī haal nahīñ
tujh ko kyā ho gayā hai ab ai dil
kyoñ kisī chiiz se savāl nahīñ
ābgīna nahīñ hai patthar hai
dil agar ġham se bāl-bāl nahīñ
ḳhūn-e-dil jaan kar maiñ piitā huuñ
jāntā huuñ ki mai halāl nahīñ
shauq kā naam bhī na lo hargiz
dil ke haq meñ ye nek-fāl nahīñ
kyā qayāmat hai vā'da-e-dīdār
sā'at-o-roz-o-māh-o-sāl nahīñ
naḳhl-e-ġham ko bhalī hai dil kī zamīñ
ki ḳhushī se koī nihāl nahīñ
shikva kaisā ki shukr bhī hai gila
saañs lene kī yaañ majāl nahīñ
ye ri’āyāt-e-lafz o josh-e-fuġhāñ
ġhāliban naqs hai kamāl nahīñ
gul-o-bulbul kī dekhte ho bahār
dil kā 'shabbīr' kuchh ḳhayāl nahīñ
husn muhtaj-e-KHatt-o-KHal nahin
KHud nazar darKHur-e-jamal nahin
furqat-o-wasl ka sawal nahin
be-dili tera koi haal nahin
tujh ko kya ho gaya hai ab ai dil
kyon kisi chiz se sawal nahin
aabgina nahin hai patthar hai
dil agar gham se baal-baal nahin
KHun-e-dil jaan kar main pita hun
jaanta hun ki mai halal nahin
shauq ka nam bhi na lo hargiz
dil ke haq mein ye nek-fal nahin
kya qayamat hai wa'da-e-didar
sa'at-o-roz-o-mah-o-sal nahin
naKHl-e-gham ko bhali hai dil ki zamin
ki KHushi se koi nihaal nahin
shikwa kaisa ki shukr bhi hai gila
sans lene ki yan majal nahin
ye ri’ayat-e-lafz o josh-e-fughan
ghaaliban naqs hai kamal nahin
gul-o-bulbul ki dekhte ho bahaar
dil ka 'shabbir' kuchh KHayal nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.