husn nikhar nikhar gaya wasl ki ek raat mein
husn nikhar nikhar gaya wasl ki ek raat mein
Mustafa Husain Nayyar
MORE BYMustafa Husain Nayyar
husn nikhar nikhar gayā vasl kī ek raat meñ
ishq bahak bahak gayā mastī-e-vārdāt meñ
raat tamām ho ga.ī sirf takallufāt meñ
ishq taḌap taḌap uThā husn kī baat baat meñ
kitne rafīq the mire jab thā zamāna-e-nashāt
koī na ham-navā huā vaqt pe mushkilāt meñ
un kī nigāh-e-avvalīñ dil meñ samā ke rah ga.ī
qurb se lutf hai sivā duur ke iltifāt meñ
dil se mujhe bhulā sakeñ aap ke bas meñ ye nahīñ
yaad mirī satā.egī din se ziyāda raat meñ
phailī huī hai raushnī zer-e-qadam hai kahkashāñ
sāmne vo haiñ aur maiñ gum huuñ tajalliyāt meñ
husn nikhar nikhar gaya wasl ki ek raat mein
ishq bahak bahak gaya masti-e-wardat mein
raat tamam ho gai sirf takallufat mein
ishq taDap taDap uTha husn ki baat baat mein
kitne rafiq the mere jab tha zamana-e-nashat
koi na ham-nawa hua waqt pe mushkilat mein
un ki nigah-e-awwalin dil mein sama ke rah gai
qurb se lutf hai siwa dur ke iltifat mein
dil se mujhe bhula saken aap ke bas mein ye nahin
yaad meri sataegi din se ziyaada raat mein
phaili hui hai raushni zer-e-qadam hai kahkashan
samne wo hain aur main gum hun tajalliyat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.