husn-o-ishq ka sangam der tak nahin rahta
husn-o-ishq kā sañgam der tak nahīñ rahtā
koī bhī hasīñ mausam der tak nahīñ rahtā
lauT jaao raste se tum na.e musāfir ho
pyaar kā safar hamdam der tak nahīñ rahtā
ūñche ūñche mahloñ kī dāstāñ ye kahtī hai
qahqahoñ kā ye aalam der tak nahīñ rahtā
dil kisī kā TuuTe yā ghar kisī kā jal jaa.e
bevafā ke dil ko ġham der tak nahīñ rahtā
ho sake to chāhat kī choT se bache rahnā
varna zaḳhm par marham der tak nahīñ rahtā
kyoñ ġhurūr karte ho jā ke tum bulandī par
shohratoñ kā ye parcham der tak nahīñ rahtā
kaun jaane kab kis par zindagī Thahar jaa.e
koī rustam-e-āzam der tak nahīñ rahtā
husn-o-ishq ka sangam der tak nahin rahta
koi bhi hasin mausam der tak nahin rahta
lauT jao raste se tum nae musafir ho
pyar ka safar hamdam der tak nahin rahta
unche unche mahlon ki dastan ye kahti hai
qahqahon ka ye aalam der tak nahin rahta
dil kisi ka TuTe ya ghar kisi ka jal jae
bewafa ke dil ko gham der tak nahin rahta
ho sake to chahat ki choT se bache rahna
warna zaKHm par marham der tak nahin rahta
kyon ghurur karte ho ja ke tum bulandi par
shohraton ka ye parcham der tak nahin rahta
kaun jaane kab kis par zindagi Thahar jae
koi rustam-e-azam der tak nahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.