husn-o-wafa ke zikr mein sarkar aap hain
husn-o-vafā ke zikr meñ sarkār aap haiñ
sab kuchh milā mujhe vale darkār aap haiñ
inkār-e-jā-ba-jā se mudallal huī ye baat
merī mohabbatoñ meñ giraftār aap haiñ
maiñ ne hazār aib kī pursish meñ ye kahā
is āshiq-e-ḳharāb ke me.amār aap haiñ
sab tohmatoñ ke ba.ad adālat meñ vaqt-e-hijr
ham kah ke ro paḌe ki vafādār aap haiñ
jin kī rafāqatoñ meñ hai guzrī tamām umr
vo ye samajh rahe haiñ ki aġhyār aap haiñ
husn-o-wafa ke zikr mein sarkar aap hain
sab kuchh mila mujhe wale darkar aap hain
inkar-e-ja-ba-ja se mudallal hui ye baat
meri mohabbaton mein giraftar aap hain
main ne hazar aib ki pursish mein ye kaha
is aashiq-e-KHarab ke meamar aap hain
sab tohmaton ke baad adalat mein waqt-e-hijr
hum kah ke ro paDe ki wafadar aap hain
jin ki rafaqaton mein hai guzri tamam umr
wo ye samajh rahe hain ki aghyar aap hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.