husn paband-e-jafa ho jaise
husn pāband-e-jafā ho jaise
ye koī ḳhaas adā ho jaise
yuuñ tirī yaad hai mere dil meñ
kisī marghaT meñ diyā ho jaise
ho gayā suukh ke kāñTā har phuul
ye mahakne kī sazā ho jaise
merī furqat kā ġham-āgīñ 'ālam
chhup ke tū dekh rahā ho jaise
kashtiyāñ ġharq huī jaatī haiñ
nāḳhudā ho na ḳhudā ho jaise
allah allah tirā andāz-e-ḳhirām
har qadam mauj-e-sabā ho jaise
kitnī pur-kaif hai ye zulmat-e-shab
terī zulfoñ kī ghaTā ho jaise
tere hoñToñ pe tabassum tauba
māh-o-anjum kī ziyā ho jaise
un se kartā huuñ taġhāful kā gila
'ishq meñ ye bhī ravā ho jaise
is tarah 'ishq se dil-shād haiñ ham
yahī har ġham kī davā ho jaise
us se aatī nahīñ ab koī sadā
sāz-e-dil TuuT gayā ho jaise
dekh kar tujh ko ye hotā hai gumāñ
tū mire dukh kī davā ho jaise
un ko yuuñ DhūñD rahā huuñ 'parvez'
'ishq se husn judā ho jaise
husn paband-e-jafa ho jaise
ye koi KHas ada ho jaise
yun teri yaad hai mere dil mein
kisi marghaT mein diya ho jaise
ho gaya sukh ke kanTa har phul
ye mahakne ki saza ho jaise
meri furqat ka gham-agin 'alam
chhup ke tu dekh raha ho jaise
kashtiyan gharq hui jati hain
naKHuda ho na KHuda ho jaise
allah allah tera andaz-e-KHiram
har qadam mauj-e-saba ho jaise
kitni pur-kaif hai ye zulmat-e-shab
teri zulfon ki ghaTa ho jaise
tere honTon pe tabassum tauba
mah-o-anjum ki ziya ho jaise
un se karta hun taghaful ka gila
'ishq mein ye bhi rawa ho jaise
is tarah 'ishq se dil-shad hain hum
yahi har gham ki dawa ho jaise
us se aati nahin ab koi sada
saz-e-dil TuT gaya ho jaise
dekh kar tujh ko ye hota hai guman
tu mere dukh ki dawa ho jaise
un ko yun DhunD raha hun 'parwez'
'ishq se husn juda ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.