husn pal pal nikharta raha
husn pal pal nikhartā rahā
'ishq had se guzartā rahā
maiñ ne dil meñ basāyā jise
vo sitam roz kartā rahā
paas thā vo magar hijr se
'umr bhar dil ye Dartā rahā
tīrgī thī ufuq tak magar
ek sūraj ubhartā rahā
ziist kartī rahī bas sitam
TuuT kar maiñ bikhartā rahā
ḳhālī dil kā makāñ dekh kar
dard mehmāñ Thahartā rahā
maut hai ham-safar āḳhirī
kis kī ḳhātir sañvartā rahā
husn pal pal nikharta raha
'ishq had se guzarta raha
main ne dil mein basaya jise
wo sitam roz karta raha
pas tha wo magar hijr se
'umr bhar dil ye Darta raha
tirgi thi ufuq tak magar
ek suraj ubharta raha
zist karti rahi bas sitam
TuT kar main bikharta raha
KHali dil ka makan dekh kar
dard mehman Thaharta raha
maut hai ham-safar aaKHiri
kis ki KHatir sanwarta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.