husn par firaun ki phabti kahi
husn par fir.aun kī phabtī kahī
haath laanā yaar kyuuñ kaisī kahī
dāman-e-yūsuf hī bhaḌkātā rahā
ishq aur tark-e-adab achchhī kahī
kaun samjhā.e ki duniyā gol hai
aap ne jaisī sunī vaisī kahī
koī zid thī yā samajh kā pher thā
man ga.e vo maiñ ne jab ulTī kahī
dard se pahle karūñ fikr-e-davā
vaah ye achchhī ulTavānsī kahī
dost se parda kiyā ye kyā kiyā
āp-bītī chhoḌ jag-bītī kahī
shak hai kāfir ko mire īmān meñ
jaise maiñ ne koī muñh dekhī kahī
kyā ḳhabar thī ye judā.ī aur hai
haa.e maiñ ne kyuuñ ḳhudā-lagtī kahī
muft meñ sun lī 'yagānā' kī ġhazal
an-sunī kar dī jo matlab kī kahī
husn par firaun ki phabti kahi
hath lana yar kyun kaisi kahi
daman-e-yusuf hi bhaDkata raha
ishq aur tark-e-adab achchhi kahi
kaun samjhae ki duniya gol hai
aap ne jaisi suni waisi kahi
koi zid thi ya samajh ka pher tha
man gae wo main ne jab ulTi kahi
dard se pahle karun fikr-e-dawa
wah ye achchhi ulTawansi kahi
dost se parda kiya ye kya kiya
aap-biti chhoD jag-biti kahi
shak hai kafir ko mere iman mein
jaise main ne koi munh dekhi kahi
kya KHabar thi ye judai aur hai
hae main ne kyun KHuda-lagti kahi
muft mein sun li 'yagana' ki ghazal
an-suni kar di jo matlab ki kahi
- kulliyaat-e-yagaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.