Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn par jab shabab aata hai

Azeez Moradabadi

husn par jab shabab aata hai

Azeez Moradabadi

MORE BYAzeez Moradabadi

    husn par jab shabāb aatā hai

    ik nayā inqalāb aatā hai

    un ko bhejā hai aaj nāma-e-shauq

    dekhiye kyā javāb aatā hai

    merī āñkhoñ meñ dekh kar aañsū

    un ko mujh par itaab aatā hai

    be-naqāb un ko dekhne ke liye

    raat ko māhtāb aatā hai

    tālib-e-dīd dars-e-ulfat leñ

    imtihāñ meñ ye baab aatā hai

    aap jo bhī savāl pūchheñge

    mujh ko us javāb aatā hai

    qabr par merī gul chaḌhāne ko

    vo barā.e-savāb aatā hai

    tauba karte raho gunāhoñ se

    shaitanat se azaab aatā hai

    raat meñ din 'azīz' niklegā

    aisā ik āftāb aatā hai

    husn par jab shabab aata hai

    ek naya inqalab aata hai

    un ko bheja hai aaj nama-e-shauq

    dekhiye kya jawab aata hai

    meri aankhon mein dekh kar aansu

    un ko mujh par itab aata hai

    be-naqab un ko dekhne ke liye

    raat ko mahtab aata hai

    talib-e-did dars-e-ulfat len

    imtihan mein ye bab aata hai

    aap jo bhi sawal puchhenge

    mujh ko us ka jawab aata hai

    qabr par meri gul chaDhane ko

    wo barae-sawab aata hai

    tauba karte raho gunahon se

    shaitanat se azab aata hai

    raat mein din 'aziz' niklega

    aisa ek aaftab aata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now