husn parde mein sahi zauq-e-taqaza bhi to ho
husn parde meñ sahī zauq-e-taqāzā bhī to ho
chashm-e-dil se koī mushtāq-e-tamāshā bhī to ho
ḳhalvat-e-nāz meñ ārā.ish-e-gesū kab tak
husn-e-rangīñ kī qasam anjuman-ārā bhī to ho
dard-e-dil kis se kahūñ zaḳhm-e-jigar kis ko dikhā.ūñ
chārāgar ban ke koī pūchhne vaalā bhī to ho
kaun kahtā hai ki āsāñ nahīñ milnā terā
sar meñ saudā bhī to ho dil meñ tamanna bhī to ho
bāda-e-vasl mayassar ho to kyūñkar ho mujhe
talḳhī-e-zahr-e-sitam pahle gavārā bhī to ho
jān-e-shīrīñ tire qadmoñ pe nichhāvar kar duuñ
gosha-e-abrū-e-pur-ḳham kā ishārā bhī to ho
zarra zarra haram-e-jalva-e-sarmad hai 'valī'
chashm-e-bātin se koī mahv-e-nazāra bhī to ho
husn parde mein sahi zauq-e-taqaza bhi to ho
chashm-e-dil se koi mushtaq-e-tamasha bhi to ho
KHalwat-e-naz mein aaraish-e-gesu kab tak
husn-e-rangin ki qasam anjuman-ara bhi to ho
dard-e-dil kis se kahun zaKHm-e-jigar kis ko dikhaun
chaaragar ban ke koi puchhne wala bhi to ho
kaun kahta hai ki aasan nahin milna tera
sar mein sauda bhi to ho dil mein tamanna bhi to ho
baada-e-wasl mayassar ho to kyunkar ho mujhe
talKHi-e-zahr-e-sitam pahle gawara bhi to ho
jaan-e-shirin tere qadmon pe nichhawar kar dun
gosha-e-abru-e-pur-KHam ka ishaara bhi to ho
zarra zarra haram-e-jalwa-e-sarmad hai 'wali'
chashm-e-baatin se koi mahw-e-nazara bhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.