husn phir shoKHi-e-wafa tauba
husn phir shoḳhī-e-vafā tauba
ek kāfir nayā ḳhudā tauba
un se kis muñh se shikva-e-bedād
zindagī ḳhud hai ik jafā tauba
zabt kī koshisheñ to kiiñ maiñ ne
har nazar thī ḳhud iltijā tauba
vo bhī majbūr-e-iltifāt hue
dil ne is tarah ro diyā tauba
dil phir is par ye shauq-e-be-pāyāñ
afv kiije huī ḳhatā tauba
husn phir shoKHi-e-wafa tauba
ek kafir naya KHuda tauba
un se kis munh se shikwa-e-bedad
zindagi KHud hai ek jafa tauba
zabt ki koshishen to kin main ne
har nazar thi KHud iltija tauba
wo bhi majbur-e-iltifat hue
dil ne is tarah ro diya tauba
dil phir is par ye shauq-e-be-payan
afw kije hui KHata tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.