husn se jab fareb khaya hai
husn se jab fareb khāyā hai
kohsāroñ se dil lagāyā hai
duur rah kar bhī paas rah kar bhī
'ishq ko ham ne āzmāyā hai
be-ḳhudī meñ paḌhī namāz-e-'ishq
dil jhukā thā lo sar jhukāyā hai
ḳhāmushī baat kar rahī hai abhī
ek muddat pe yaar aayā hai
zaḳhm kī baat mat karo logo
tohfa-e-'ishq hai jo paayā hai
husn se jab fareb khaya hai
kohsaron se dil lagaya hai
dur rah kar bhi pas rah kar bhi
'ishq ko hum ne aazmaya hai
be-KHudi mein paDhi namaz-e-'ishq
dil jhuka tha lo sar jhukaya hai
KHamushi baat kar rahi hai abhi
ek muddat pe yar aaya hai
zaKHm ki baat mat karo logo
tohfa-e-'ishq hai jo paya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.