husn se kam nahin martaba ishq ka
husn se kam nahīñ martaba ishq kā
vo bhī sho.ala-badan ham bhī ātish-navā
ik tabassum kī auqāt kyā thī magar
aaj tak jheltā huuñ usī kī sazā
pyaar kī ret par sarḳhushī kā mahal
sāda-lauhī kī bhī ho ga.ī intihā
the kabhī naġhma-e-mahfil-e-gul-ruḳhāñ
aaj ham ho ga.e jañgaloñ kī sadā
laao mar ke bhī dekheñ kisī raah meñ
shāyad aa jaa.e yuuñ zindagī kī adā
koī āñchal hī 'nāzim' na thā baḳht meñ
varna aañsū the mere gul-e-be-bahā
husn se kam nahin martaba ishq ka
wo bhi shoala-badan hum bhi aatish-nawa
ek tabassum ki auqat kya thi magar
aaj tak jhelta hun usi ki saza
pyar ki ret par sarKHushi ka mahal
sada-lauhi ki bhi ho gai intiha
the kabhi naghma-e-mahfil-e-gul-ruKHan
aaj hum ho gae jangalon ki sada
lao mar ke bhi dekhen kisi rah mein
shayad aa jae yun zindagi ki ada
koi aanchal hi 'nazim' na tha baKHt mein
warna aansu the mere gul-e-be-baha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.