husn tera jo kabhi wajd mein lata hai mujhe
husn terā jo kabhī vajd meñ laatā hai mujhe
ye jahāñ ā.ina-ḳhāna nazar aatā hai mujhe
dasht-e-pur-ḳhār meñ khīñche liye jaatā hai mujhe
har nayā ishq tire hijr meñ paatā hai mujhe
maiñ nahīñ maslak-e-arbāb-e-vafā se vāqif
husn kyuuñ raaz kī har baat batātā hai mujhe
jaane ye tū hai tirā ġham hai ki dil kī vahshat
jānib-e-koh-e-nidā koī bulātā hai mujhe
muntashir hotī chalī jaatī hai jab zaat mirī
mere andar koī tartīb meñ laatā hai mujhe
ik adū hai jo ujaḌne nahīñ detā mujh ko
ḳhud ko barbād bhī kar luuñ to basātā hai mujhe
garche ḳhud hāsil-e-taḳhlīq hai par husn tirā
bārhā safha-e-hastī se miTātā hai mujhe
manzil-e-ishq ye kaisī hai ki ā.īne meñ
apnā chehra bhī tirī yaad dilātā hai mujhe
husn ban jaatā hai har harf-e-fusūñ-ḳhez mirā
ishq jab sheva-e-guftār sikhātā hai mujhe
ḳhvāhish-e-nashv-o-numā hai mire dil meñ lekin
jitnā uThtā huuñ koī ḳhud se ghaTātā hai mujhe
ye bhī in.ām-e-basīrat hai ki 'shāriq' har dam
saaya ā.īne kī sūrat nazar aatā hai mujhe
husn tera jo kabhi wajd mein lata hai mujhe
ye jahan aaina-KHana nazar aata hai mujhe
dasht-e-pur-KHar mein khinche liye jata hai mujhe
har naya ishq tere hijr mein pata hai mujhe
main nahin maslak-e-arbab-e-wafa se waqif
husn kyun raaz ki har baat batata hai mujhe
jaane ye tu hai tera gham hai ki dil ki wahshat
jaanib-e-koh-e-nida koi bulata hai mujhe
muntashir hoti chali jati hai jab zat meri
mere andar koi tartib mein lata hai mujhe
ek adu hai jo ujaDne nahin deta mujh ko
KHud ko barbaad bhi kar lun to basata hai mujhe
garche KHud hasil-e-taKHliq hai par husn tera
barha safha-e-hasti se miTata hai mujhe
manzil-e-ishq ye kaisi hai ki aaine mein
apna chehra bhi teri yaad dilata hai mujhe
husn ban jata hai har harf-e-fusun-KHez mera
ishq jab shewa-e-guftar sikhata hai mujhe
KHwahish-e-nashw-o-numa hai mere dil mein lekin
jitna uThta hun koi KHud se ghaTata hai mujhe
ye bhi inam-e-basirat hai ki 'shaariq' har dam
saya aaine ki surat nazar aata hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.