husn walon ka eatibar na kar
husn vāloñ kā e.atibār na kar
ḳhush-jamāloñ kā e.atibār na kar
sāzish-e-tīrgī meñ jo hoñ sharīk
un ujāloñ kā e.atibār na kar
kab badal jaa.eñ ye nahīñ ma.alūm
ham-ḳhayāloñ kā e.atibār na kar
rāhzan rāhbar ke bhes meñ haiñ
un kī chāloñ kā e.atibār na kar
jin kā uljhā sā har javāb mile
un savāloñ kā e.atibār na kar
jo ḳhud apnī jagah na hoñ mazbūt
un havāloñ kā e.atibār na kar
un ke dast-e-hasīñ ke gūñdhe hue
phūl-māloñ kā e.atibār na kar
kahīñ gumrāh kar na deñ 'aḳhtar'
nek-fāloñ kā e.atibār na kar
husn walon ka eatibar na kar
KHush-jamalon ka eatibar na kar
sazish-e-tirgi mein jo hon sharik
un ujalon ka eatibar na kar
kab badal jaen ye nahin malum
ham-KHayalon ka eatibar na kar
rahzan rahbar ke bhes mein hain
un ki chaalon ka eatibar na kar
jin ka uljha sa har jawab mile
un sawalon ka eatibar na kar
jo KHud apni jagah na hon mazbut
un hawalon ka eatibar na kar
un ke dast-e-hasin ke gundhe hue
phul-malon ka eatibar na kar
kahin gumrah kar na den 'aKHtar'
nek-falon ka eatibar na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.